What happens on Budget day | Hindi

Podcast Duration: 08:20

Dosto jis din Budget aata hai, Wo din pure desh aur sarkar ke liye kaafi khaas din hota hai. Aaiye jaante hai ki Budget ke din kya hota hai?

Pehle baat kare aam aadmi ki, to aam admi thoda ghabraya hota hai, ki is baar kuch acchi khabar milegi usko ya nhi. Ye umid to sabhi ko hoti hi hai na. Par sarkar ke liye to ye din bahut important hota hai, unke office mein is din sabhi kya karte honge socha hain aapne? Finance Minister is din ke liye kya plan banati hogi ? Or iss pure din kaise kaam karte honge? Kya aise saval aapke dimag mein aate hai. Agar aap aam janta hain toh haan, Aate hi honge.

To chaliye jante hai ki aakhir Finance Minister ke liye Budget ka din kaisa hota hoga?

Jaisa ki aap jante hai, ki naye din ki shuruwat ugte suraj se hoti hain, usi tarah Budget ka din sabhi ke liye nai roshani lata hai . Aur Finance Minister is din humare liye ugte suraj ki tarah hoti hai. Aur is din ke suraj matlab Finance Minister ke din ki shuruwat subha 8.30 baje hoti hai. 8.30 baje wo final formalities pura karne ke liye apne ghar se north block pahuchti hai.

Aapko jankar hairani hogi ,ki north block mein jab budget document ko print kiya jata hai tab waha kaafi security aur checking hoti hai .Yaha tak ki print ke samay kisi ko bhi waha se bahar jane ya apne mobile phone ko use karne nhi diya jata chahe wo Finance Minister hi kyu na ho. Unhe bhi permission nhi milti ki wo bhahar ke logo se baat bhi kr sake.

Sochiye Budget ke print hone mein itni suraksha hoti hai to aage aur kya hota hoga?

Par us se pehle aap mujhe bataiye kya aap photo click kar aapni yade store karte hai?

Ha krte hi honge aur sath mein hashtages photo ke sath lagate honge . Sirf aap nhi sarkar bhi apne har important event par photo click karati hai. Aur Budget ka din to bahut ki mahatvapoorn maana jaata hai. Is din photo session bhi hota hai. Is photo mein Finance Minister ,State Minister or unke sath Finance Ministry ki puri team jo budget banane ka kaam karti hai, sabhi ka ek sath photo liya jata hai. Iske liye time fix hota hai, ye photo session North block mein 9.15 am se 9.30am ke bich kiya jata hai.

Kya aapko is photo session ke baare mein pehle pata tha? Nahi na. Chaliye aisi hi aur majedar baate aapko aage pata chalegi. Aap sabhi apni pehli mahila Finance Minister ki surprise karne wale pehle incident ke bare mein to suna hi hoga ki kaise wo briefcase ki jaga desi bahi khata ke style mein pichel saal budget present kiya tha.

Jab pehli baar desi style mein aisa budget dekh kar sabhi hairan ho gae the to is baar bhi kisi nae surprise ko jarur dekhne ki chahat hogi. Is din ki choti choti baatein bahut jaruri hoti hai.

Iske bad thik 9.30 baje Finance Minister apne team ke sath North Block se Rashtrapati Bhavan ke liye nikalte hai. North block se Rashtrapati Bhavana tak ka unka ye safer shandar hota hai jis par pure desh ki nazar hoti hai. Agar aap par pure desh ki nazar ho to sochiye aapko kaisa lagega? Sunkar hi darr lag gaya na. Finance Minister ko bhi ghabrahat to hoti hogi. Aakhir minister hai to kya wo bhi ek insaan hi hai. Par apni tension ke sath unke uper jo responsibility hai woh unhe strong banati hai. Rashtrapati bhavan pahuch kar Finance Minister Budget present karne ki practice krte hai .Ye bhi Budget ke din se juda ek zaroori ritual hai.

Aap soch rahe honge ki budget day ki tayari puri ho gai...Par nhi.

Abhi Approval milna baaki hai. Parliament mein Union Budget present karne se pehle Finance Minister ko President ke approval ki zarurat hoti hai. Aur iske liye Finance Minster 10.00 baje Rashtrapati Bhavan mein President ke sath meeting karte hai.

Ab aap soch rahe honge ki jis budget ko banane mein pura saal bhi kam padta hai, uss par approval kuch samay mein padh kar President kaise dete honge? Par main aapko jo baat batane ja raha hu wo jankar aapki soch badal jaegi. President ke pass Budget ko summarize karke present kiya jata hai. Finance Minister or Prime Minister mil kar Budget ki summary Ready karte hai. Jab President is Document ko approve kar dete hai, uske baad Finance Minister ko union Budget Parliament mein present karna hota hai.

Par Use baad bhi Aur ek approval milna baki hai. Aap ko lag raha hoga President ke bad to kisi or ke approval ki kya zarurat. Lekin Budget ko Parliament mein pahuchane se pehle Cabinet mein present karna hota hai. 10.15 ko Finance Minister Union budget ki usi tarah summary copy Cabinet mein approval ke liye present karte hai jaise President ko present ki gai thi. Aur Cabinet se approval milne ke bad 10.30 se 10.45 ke beech ise Parliament mein present karte hai.

Aur ab wo samay aa gya hain jiska sabhi ko intezar hota hai.

11.00 baje Parliament mein Union Budget Present kiya jaata hain. Jo pure desh ki janta ke liye Live broadcast hota hai aur is bar to Covid 19 ke kaaran desh aur pure World ki jo halat hai, wo kisi se chhupi nhi hai. Aur aise mein Budget ka din pass aana ek nai umid aur andhere ke baad roshani ke dikhne jaisa hai. Kyuki Covid 19 ke kaaran sabhi logo ki financial life par negative effect hua hai chahe ameer ho ya garib. Isliye is bar Union Budget se sabhi ko bahut si expectation hai. Ki is year jo condition logo ne face ki hai, us se Finance Minister kuch rahat degi.

1 February ko 11.00 baje ki subha pura desh apne T.V. ke samne hi baitha hoga. Jis screen ke samne pura saal bita diya covid 19 ki update soon soonkar aaj usi screen par nayi umeed milne ki umeed hogi. Jo logo ki sabhi problem solve karegi jaise tax benefits, some allowances Aur bhi bahut kuch plans jo Union Budget mein desh ki condition ko, humhari life ko sahi track pr lane ke liye jaruri hai.

Chaliye aapko budget day se related ek aisi baat batata hu jo shayad hi aapko pata hogi.

Ye baat Budget present karne ke time se judi hai. Pehle jab india independent nhi hua tha, uss samay budget present karne ka time 5pm hota tha, kyuki india ke 5pm ka samay UK mein 12 pm hota tha. 12pm ke time par UK ke officials ko live budget dekhne mein koi problem nhi hoti thi. Lekin 1999 mein, India ne tradition badal diya aur uss saal 11 AM budget speech ka trend shuru kiya gaya. Aisa krna sahi bhi tha kyuki Budget ka asar stock markets pr bahut yada hota hai.

Ek aur fact jo aap nhi jante honge. Ki pehle union budget February ke last day ko present kiya jata tha. Par 2016 se 1 February ko present kiye jane laga. Saath hi 2016 ko ye bhi announcement ki gai ki union budget or Railway budget ab sath mein present kiya jaega.

Aaiye jante hai is saal budget day mein khaas kya hai ?

Is saal covid 19 ke kaarn social distancing ke rule ko flow kiya jaega or pehli baar Parliament ke members ko teen alag alag room mein baithaya jaega.

Ab baat kare Finance Minister ke speech ki jo 1 se 2 hour ki hoti hai. Finance Minister speech lok Sabha mein Speaker ke samne present karte hai.

Union Budget Speech ko 2 part mein divide kara jaata hai.

Part 1 - jisme Finance Minister, general Economic Survey present krte hai. Matlab sabhi State ke Minister ne apne State mein kya kaam kiye or aane wale time mein kaun se naye plan hai. Iske bare mein information dete hai. Sath hi government ko milne wale tax capital se kitna benifit hua, aur tax capital ka use kis kam ko karne mein kiya gaya sab information part -1 speech se milti hai.

Part 2 - ye part jaada zaruri hota hai. Isme tax increase or decrease, new taxes or variations ke bare mein bataya jata hai. 1st April se Taxation mein jo bhi changes hona hai, wo Budget Speech ke Part 2 mein bataya jata hai.

Ab jante hai speech ke bad kya hota hai.

Finance Minister ke speech ke baad Rajya Sabha mein Annual Financial Statement document present kiya jata hai. Kuch din baad, Lok sabha mein is par discussion kiya jata hai. Finance Minister bhi is discussion ka part hote hai.

Budget se humare sapne or future sab juda hota hai , agar aap Union budget ke bare mein aur jaan na chahte hai. To isse jude hamare aur bhi podcasts zaroor suniye. Till then, happy investing!