What Are Portfolio Management Services

Podcast Duration: 06:38
Angel One podcast ke naye episode me aapka swagat hai. Investors ki life aasan karne ke liye hum har bar complicated concepts aur terminologies ko simplify karte hain. Aaj baare hai portfolio management services ko simplify karne ki.

Aapka investment portfolio aapki sabhi investments ka collection hota hai. Appke portfolio me konsi securities aur investment instruments honge aur kitne proportion me honge, ye depend karta hai on your risk appetite. Jaisi ki, agar aapko risk lena pasand hai, toh aapke adhiktam investments equity-related instruments me honge. Lekin agar aap ek conservative investor hain, toh aapke zyadatar investments fixed income securities jaise debt instruments me honge.

Sawaal ye uthta hai ki aap decide kaise karenge ki sahi time par sahi securities me investments ki jaaye?

Is sawaal ka jawab dene me aapki madad karti hai portfolio maagement services! Bilkul saral shabdo me kahein toh Portfolio management ka matlab hai capital market me investments se related decisions lena. Ye decision ho sakta hai composition ka- ki konsi investments aapki puri portfolio ka bada bhaag honge aur konse small proportion me honge.

Ye decision ho sakta hai timing ka - kisi bhi instrument me invest karne ka sabse sahi waqt kya hota hai? Aur ye decision ho sakta hai simply investments select karne ka. Aap ye saare nirnay apne aap bhi le sakte hain - lekin aapko kaafi reseearch karni hogi, isme kaafi samay lagega. Aapke paas dusra option hai - ke aapke behalf par experts ye sabhi decisions lein.

Jab experts aapki liye investments aur portfolio diversification related decisions lete hai, unhe Portfolio Management Services kaha jaata hai.

Pehle, aisa maana jaata tha ke Portfolio Management Services ka use sirf High Net-worth individuals, karenge - kyuki unka goal wealth creation hai aur baaki investors choti si investment karte hain. After all, Portfolio Management Services ke under aapko Rs 25 lakh ki minimum investment karni padti hai. Lekin waqt ke saath investment complex ho rahi hain aur zyada accessible bhi. So no wonder that everyone seeks Portfolio Management Services today. Chaliye ab jaante hain ke Portfolio Management Services aur portfolio managers kaam kaise karte hain. Ho sakta hai aapko lage ke portfolio managers mautual fund managers ke jaise hote hain jahan fund management ke badle fees lekar aapki investment ki responsiblity experts uthate hain. Lekin yaad rakhiyega ke mutual funds me bahut saare log apne investments ko pool karke invest karte hain! Lekin portfolio management me sirf aapke apne funds involved hote hain. Aap apne stocks demat account me rakhte hain and manager aapke behalf pe uss account ko operate karte hain. This means ke wo transactions karne ke liye responsible hote hain.

In fact, Portfolio Management Services do tarah ki hoti hai: Discretionary aur non-discretionary. Discretionary fund management strategy implies that the fund manager has control or the discretion for make the final call on all investment decisions.

Kab invest karna hai, kitna invest karna hai aur kahan invest karna hai - it is all up to the fund managers. Lekin agar fund manager aapko sirf salaah-mashwara dete hain, with the final decision being yours, then it is non-discretionary Portfolio Management Services. Isme aapko sirf salaah di jaati hai, use lagoo karna ya nahi karna aap par depend karta hai. Ek baar aapne decision le liya, phir portfolio manager us decision ko execute karte hain. Aapki fund manager ke saath arrangement advisory bhi ho sakti, jahan Portfolio Manager sirf aapko suggestions aur ideas dete hain, nothing more.

Portfolio Management Services ke under apne investment research ko delegate karne ke kayi fayde hote hain. First benefit is that your fund manager is an expert in the field. Unhe iss baat ki samajh hoti hai ke kisi investor ki age, budget, risk appetite, income, aur investment goal ke mautabik kaisa investment plan aur strategy kaam karegi.

Aapke portfolio manager aapko jo bhi suggestion aur recommendation dete hain, vo khaas aapke liye hoti hai. It is not generic advice, but rather personalised for you!

On top of it, ek obvious benefit hai related to portfolio diversification. Alag alag investments karne se risk distribute hota hai, which is a good thing to keep your money safe from volatile changes. But ek optimal way hota hai of diversifying portfolio: a way in which your goals align with the maximum possible return. Aise me portfolio manager ki expertise of use in predicting market conditions, external forces etc. Portfolio manager apni investment strategy me confidently aggressive ho sakte hain. Besides, they have ready access to market information.

Is sab ka nishkarsh? Portfolio Management Services aapke investment ka stress aur responsibility aapse le leti hain. Agar aap actively apna portfolio develop karna chahte hain, toh Portfolio Managers ka skill can be very useful for you!