Savings And Investment

Podcast Duration: 06:09
Podcast script: Savings and investment

Angel One podcast ke naye episode me aapka swagat hai. Aaj hum baat karenge financial planning ke basics ki - savings and investment. Jab aapki naukri lagti hai, ya jab aap business shuru karte hain aur paise kamate hain, financial planning is always on top of your mind. Hum sabhi chahte hain ki hum apne paise sahi jagah use karein - chahe expenses ho ya investment. Financial planning ke do fundamental concepts hote hain: savings and investment. Agar aap financial planning ke world me naye hain, toh ho sakta hai aapko lag raha ho ke savings aur investments same hi concept hote hai. Well, that’s not true. Aaiye jaante hain ke savings aur investments me kya difference hota hai

To begin with, let us look at savings. Savings ka matlab hota hai aapki disposable income ka woh part jo aapke expenses ke baad bachta hai. This means aapko jo salary mili, usme se aapne rent pay kar diya, utility bills - jaise electricity, gas, mobile etc, then provision aur groceries khareedee, koi bhi medical expenses pay kiye, travel aur commute costs pay kiye, loans wagerah par EMIs pay kiye, agar koi one-time expenses aaye jaise car service karana, insurance premium etc. aur is sab ke baad jo paisa bacha woh hui aapki savings.

Ab inn savings ko aap ya toh simple cash ki tarah ya bank account me deposited rakh sakte hain. Ye amount Savings Bank account me rakhne se aapko ek basic rate of return milta hai in the form of rate of interest. But agar aap iss amount par behtar returns chahte hain, toh aap investments ke baare me sochenge. This is where investments come into the picture.

Chaliye ab jaante hain ke investments kya hoti hain. Investment ka simple meaning hai - aap ek asset khareedte hain jise aap aaj use ya consume nahi karenge. In other words, ye asset aaj khareedne se aap apne future ke liye provide kar rahe hain. Investment ka goal hota hai wealth creation - jis asset me aap invest karte hain, time ke saath woh appreciate karta ha

This capital appreciation leads to wealth creation. Har investor ka investing goal alag hota hai - koi chahta hai ke woh apne savings ko protect kar sake, koi chahta hai ke apne paise ki value badha sake, koi chahta hai ke ek stable income milti rahe. In any case, investments are when you use your savings to purchase an asset.

Investments timelines ke basis pe bhi differ karti hain. Aapne aksar Long-term investments aur short-term investments ke baare me suna hoga. Aapka jo bhi financial goal hai - jo bhi life goal hai - uske according aap investment choose karenge - and there you have a lot of options like real estate, direct equity, Unit Linked Insurance Plans (ULIPs), mutual funds, and gold.

Podcast ke agle hisse me hum savings and investments ko compare karte hain. Let’s try and understand the advantages and disadvantages of both of these. Jaise ki agar aap decide karte hain ke aap apna paisa kisi bhi asset me nahi invest karenge. Aise me aapka paisa surkshit to rahega - kyuki koi bhi risk nahi hai - but you should also remember no risk, no return. Aapka paisa idle pada rahega without any return. On the face of it, aisa lagta hai ke idle money is not that bad. But the problem is inflation ki wajah se aapke paise ki value future me kam ho jayegi. In turn, ye aapki purchasing power bhi kam kar degi.

Aise me investing seems like a wise choice. Aap compounding ki badaulat high returns earn kar sakte hain. Iska result? Aap apne short-term aur long-term goals tak jaldi pahunch sakte hain. On top of all of this, kayi investment options me tax-saving component bhi hota hai. Toh invest karne se aap sirf returns hi nahi earn karte balki tax me bachat bhi kar sakte hain. Yahan catch bas itna hai ke agar market movements unfavourable hui, then your investments could go down in value.

Let’s take a closer look at the differences between savings and investments.

Sabse pehla factor hai risk. Jahan tak rahi risk ki baat, Savings usually investments se zyada safe hoti hain kyuki savings aap usually ek trsuted bank account me rakhenge. Investments ke saath aksar market fluctuations ka risk rehta hai. And jaisa humne abhi discuss kiya - ye risk na hone ki wajah se savings inflation ko tackle nahi kar paati.

Next factor is the return. Banks aapki savings par ek bahut hi nominal rate of interest dete hain. Doosri taraf investments se aapko higher return milta hai - kyuki aapke paise ko grow karne ka time bhi milta hai. Kuch investments me ye growth jaldi hoti hai aur kuch me time ke saath.

Next factor is the duration. Savings usually short-term ke liye ideal hoti hain. Aapne ek particular time period ke liye goal banaya, utna save kiya and done. For example, agar aapko laptop ya car khareedna hai, aap ek goal set krenge ke 2020 se pehle aapko Rs 2 lakh save karne hain. Then you save towards this goal. Doosri ore investments long term ke liye hoti hain. Jaise Public Provident Fund hota hai, jise hum short me PPF kehte hain. Wo 15 saal tak rehta hai - and you only get returns at the end - jab withdrawal hota hai.

Agla factor hai accessibility ya liquidity. Kyuki savings aapke bank account me hi hain- they are very liquid. Aap seedhe ATM se ya bank se withdraw kar sakte hain. Lekin investments ko withdraw karna utna aasan nahi In fact, kuch investments lock-in period ke saath aati hai, and sometimes they have a penalty agar aap waqt se pehle withdraw karna chahe.

Ultimately, savings versus investments ka decision aapke short term goals aur long-term objectives par dependent rehta hai.

Make the right decision - aakhir aapke hard work se kamaya hua paisa hai - get the best out of it!