Nifty Index Fund

Podcast Duration: 06:11
Invest in nifty index fund

Jab dhan aur sampatti banane ki baat aati hai, toh log sabse pehle stock market ke baare me sochte hain. Aapke investment se aapko badhiya returns mil sakte hain, basharte ki aap wisely apne investments karo. Lekin stocks me invest karne ke saath kai prakaar ke risks bhi saath jude hue hain.

Bhai, agar markets ki haalat theek nahi hai, to aapke share prices bhi neeche jayenge, hai ki nahi? Then,is risk se bachne ke liye kya kiya jaye?

Doston, aapne kabhi Nifty Index fund ke baare me suna hai kya? Agar nahi, toh hum aapko aaj detail me Nifty Index fund ke baare me bataane ja rahe hain.

Doston, Nifty Index me invest karne se aap basically market risk se apna exposure kam kar sakte ho. Iska matlab hai, ki market me jo ups and downs ho rahe hain, unse khudko protect kar sakte ho. Toh are you in, doston? Chaliye dekhte hain Nifty Index ko, detail me.

Nifty Investment basically ek mutual fund hota hai. Aapka investmentment, Nifty Index par listed jo bhi companies hain, unke stocks me jaata hai. Aap essentially un sabhi companies me invest kar rahe ho. Toh dost, is fund ke jo components hain, woh is tarah se design hote hain, ki wo Nifty 50 par listed companies ke stocks ko mirror karte hain.

Is wajah se, Nifty 50 index ka jo performance hai, wo market ke performance se more or less independent hota hai.

Toh doston, ye mutual funds se different kaise hai, ye samajh gaye na? Agar nahi, toh dhyaan se suniye. Mutual funds me basically jo fund manager hote hain, wo us fund me listed stocks khud se select karte hain. Is selection ke liye wo apne khud ke kuch set of rules follow karte hain. Zyadatar, is criteria ke kaaran aapka investment theek tarah se diversify nahi ho pata. Toh doston, even if markets strong performance dikha rahe hon, aapki Net Asset Value girne ke chances tab bhi maujood hote hain. Ye isliye, kyunki ho sakta hai ki aapke fund me jo companies ke stocks hain, unka performance agar gir gaya, toh aapki Net Asset Value bhi decrease ho jayegi, hai na?

Lekin agar aap Nifty Index me invest karte ho, to ek kisi industry ya kuch companies ka underperformance, baaki ke positive growth dikhane wale stocks balance kar dete hain. Isliye, aapka investment, ek low risk investment ho jaata hai aur isse aapko long run me steady aur stable returns milte hain.

Toh doston Nifty Index me kaise karte hain invest? Ye hum janenge 1 minute me, Nifty Index me invest karne ke advantages dekhne ke baad.

Doston jaisa ki humne bataya, Nifty Index ek low risk investment hai, aur humne aapko iske reasons bhi abhi bataye the. Iska matlab ye, ki Nifty 50 Index ko aap apne portfolio ko diversify karne ke liye istemaal kar sakte ho. And because iske maadhyam se aap almost sabhi industries aur sectors me invest karte ho, ye aapke portfolio se associated jo risk hai, usko kam karta hai.

For example, even if the automobile industry performs poorly, aap uske baad bhi apne investment par ek positive growth achieve kar sakte ho, because other stocks ki growth usko balance out kar degi.

Hamne aapko abhi ye bhi bataya tha ki Nifty Index me invest karke aapko stable aur steady returns milte hain, over a long term. Yaad hai na? Aisa isliye hota hai, kyunki ho sakta ki ek industry se aapko tagde returns mil jayen aur ek industry se aapko kuch loss bhi ho jaye, depending on their performance. Isliye, aap over the long run, in industry specific ups aur downs se protected rehte ho.

Aur doston, because isme koi selection involved nahi hota, unlike mutual funds, aap fund manager ke emotional bias se bach jaate hain.

Toh doton taiyaar hain aap Nifty Index fund me invest karne ke liye? Ab hum aapko six, thats right, kewal 6 simple steps me batane ja rahe hain, ki aap nifty index me kaise invest kar sakte ho. Kya aap apne notebook aur pen ke saath ready ho?

Step number ek: Doston sabse pehle aapko ek trading ya demat account kholna padega. Agar aapke paas trading ya demat account nahi hai, toh aap apne favourite stockbroker ki website ya app par jaakar apna account khol sakte ho.

Step number do: Apne stockbroker ke dwara bataye gaye steps ko follow karke ek trading ya demat account kholen. Isme aapko KYC documents ki zaroorat bhi padegi, jaise ki ID prood, proof of residence, aur income ka proof. Doston in documents ko trading account kholte waqt ready rakhen.

Step number teen: KYC verification hone ke baad aapka account khul jayega aur aapko ek username aur password bhi diya jayega. Isse aap apne stockbroker ke platform par use karke login karoge.

Step number chaar: Doston, iske baad appko mutual fund wala section dhoondhkar Nifty Index fund select karna hai. Lekin iske pehle, it would be better ki aap ek baar uske performance ka analysis kar len aur us fund ki performance history dekh len

Step number paanch: Bas, fir kya hai: aap Nifty Index fund me ek SIP shuru kar sakte ho, jisme aap ek set amount fixed interval me invest karte jaoge, ya fir aap ek lump-sum, one time investment kar sakte ho.

Hai na kitna simple? Doston Nifty Index fund me invest karna aap aaj se hi shuru kar sakte ho. Nifty Index me invest karke aap apne funds me long term growth dekh sakte ho. Aur ye long term investment ke liye suitable bhi hai, kyunki aapko apne funds ko manage karne ki zaroorat nahi hai. Aapke funds passively manage hote hain, to isliye zero tension: invest karo aur hone do growth!