Nifty Future

Podcast Duration: 05:31
Agar aap stock market me invest karne me ruchi rakhte hain, toh aapne aksar Nifty futures ke baare me suna hoga. Jahan tak India ke derivatives ki baat hai, Nifty futures ki usme ek khaas hi jagah hai.

Aayiye aaj iss podcast ke zariye jaante hain ke Nifty futures me aisi kya baat hai!

Sabse pehle aapke mann me aa rahe basic sawaal ko address karte hain: Nifty Futures Contract hota kya hai? Ye ek derivative contract hota hai. Arre, itne technical terms haina! Saral se shabdon me, derivative contract ka matlab hota hai ke iss contract ki value ek asset ke behaviour se ‘derive’ hoti hai. Nifty Futures contract ke case me ye asset hota hai Nifty 50 index. So basically this is how it goes: agar index ki value badhti hai, then Futures Contracts ki value bhi badh jaati hai. It corresponds to the drop also. Iska maltab ye hua ke agar Nifty ka index drop hota hai, toh Nifty Futures bhi drop ho jaate hain.

Chahe aap Nifty50 par stocks khareed rahe ho ya bech rahe ho, Nifty Futures contracts ek tarah se aapko ye safety de dete hai ke ek given price pe aap bhavishya me ek date par ye transaction kar sakte hain. Ye amount bhi pehle se decided hota hai aur iss contract me mentioned hota hai.

Nifty Futures contracts aaj ki date me India ke sabse liquid aur sabse adhik traded futures contracts me gine jaate hain.

Nifty Options do tarah ke hote hain: call aur put. Again, jargons ko thoda simplify karte hain.

Nifty call ka matlab hua ke trader ke paas ye option hai ke woh ek time period ke andar Nifty index khareed sakte hain. Nifty put ka matlab hai ke trader ke paas ye option hai ke woh ek time period ke andar Nifty index bech sakte hain. Inn dono hi cases me, price pehle se decided hota hai aur ek time period pehle hi de diya jaata hai.

Ye toh clear ho gaya ke Nifty Futures contract hota kya hain. Chalye ab dekhte hain ke Nifty Futures Contracts aakhir work kaise karte hain.

Ek example leke samajhte hain. Suppose kariye Nifty ka current trading price hai Rs 10,700. Amrita ye hope kar rahi hai ke Nifty apne iss current trading price se badhega. Vo Nifty Futures ka ek lot khareedna ke liye contract ki ek fraction par margin place karti hai. Aise karne se uske paas 75 shares a jaate hain. Ek baar Amrita is contract me a jaati hain, this means ke woh ye shares apne seller, Bharat se Rs 10,700 par le sakti hai, kisi bhavishya ki taareek pe.

Now comes the interesting part. Maan lete hain ke Amrita ka andaza sahi tha aur shares ki performance badhne se unka price Rs 10,800 ho gaya. Amrita ab apne Nifty call ko use karke Bharat ke shares ko Rs 10,700 me khareed kar Rs 10800 me bech sakti hai. Iss transaction se Amrita ko Rs 100 ki options premium income mil gayi for 75 shares. This means in total Amrita ko Rs 7500 ka profit hua. What a great deal.

Agar hum doosra case lein, toh Nifty futures ka price gir kar Rs 10600 bhi ho sakta hai. Aise me Bharat ke paas ye option hai ke vo Amrita ko futures Rs 10700 me sell karle. Amrita ka loss is case me Rs 100 hoga for eevery share she bought under this arrangement. Profit aur loss ki probability hai, but that’s just life, eh? In the next few minutes, let me give you a few tips - agar aap Nifty Futures Contract me trade karna chahte hain, these tips will come in handy.

Sabse pele toh iss baat ka dhyan rakhe ke Nifty futures me trade karne se pehle aap spread over spot price ko assess karein. Jaldbaazi me Nifty Futures lots mat khareediyega - chahe hi vo kitna appealing premium lag raha h compared to the spot price. Kayi baar spread overpricing ki wajah se bhi ho sakta hai - patiently pehle spread over spot ko analyse karein.

Usi tarah, Nifty futures ko tab na khareedein jab vo discounted lag rahe ho. Kyun? Kyuki agar koi aapko discounted price me kuch beche toh aam taur par iska matlab hai ke daal me kuch toh kaala hai - it could be that the sellers are aggressively selling kyuki unhe lag raha hai ke prices future me aur girenge. Similarly, Nifty futures position lene se pehle, open interest data ko study karne bahut crucial hai. Isse aapko trends ke baare me zaroori jaankari milegi. Is jaankari se aap ek behtar decision le sakenge. Aapka funda rehna chahiye: question everything before saying yes to any transaction.

Ye to baat rahi transaction se pele ki research ki. Trade karte samay bhi ye dhyaan rakhein ke agar aap khareed rahe hain, toh doosre end pe koi bech raha hai. Chahe woh hedger ho ya trader, try to understand ke saamne wali party ki intention kya hai. Agar aap unka nazariya samajh payenge toh aapko clarity milegi in terms of why the shares are priced the way they are.

Finally, iss baat ka bhi dhyaan rakhein ke Nifty futures me trade karte samay aap sirf trade nahi karte, there are also statutory and brokerage costs involved. Agar aapke trade me aapne breakeven kar bhi liya toh inn costs ko add karke aap loss me ja sakte hain. Humara aapko ye sab batane ka intention ye hai ke aapko pata hona chahiye aapka net loss ya profit inn additional costs ki wajah se bhi impact hota hai. Uske upar aapko tax implication bhi dekhni hogi.

Make sure ke at the end of the day, agar aap trade kar rahe hain, to aap profit me reh sake.