Making Money In Stocks

Podcast Duration: 06:13
How to make Money in Stock Markets
नमस्कार मित्रों। एंजेल वन के इस podcast में आपका स्वागत है ।

Aaj kal yuva investors ko share market kam samay mein paise kamane ka ek akarshak madhyam nazar aa raha hai. Lekin share market mein invest karke paise kamana utna bhi assan nahi jitna door se dikhai deta hai. Share market me apne investment ki growth hote dekhne ke liye aapko kuch simple rules samajhne honge.

Market mein kuch aisi strategies bhi hain, jinka samman duniya ke top investors aaj bhi karte hain. Jald hi janenge hum in strategies ko, aur batayenge ki aap apne portfolio me in strategies ko kaise use kar sakte hain.

Saath hi, aapko yah bhi samajhna hoga, ki market mein kis type ki securities se kis tarah ke returns milte hain, aur invest karte samay kin niyamon ko dhyaan me rakhna hota hai.

Aaj ke podcast mein hum in cheezon ke baare mein baat karne ja rahe hain. Par aage badhne se pehle, aaiye hum ek achche investor ke, kya bolna chaiye - temperament, aur skills par ek nazar daalte hain.

Stock market mein invest karte hue, agar aapko business aur financial analysis karna aata ho, to aap apne investment ko sahi disha mein aasani se lekar ja sakte hain. Lekin ghabraiye nahi, agar aap business analysis mein expert nahin hain, to aap brokers, yani ki dalaalon aur experts ki advice par dhyaan dekar bhi ek samajhdaar investor ki tarah nivesh karna seekh sakte ho.

Toh dekhiye, market mein kai tarah ke securities mein aap nivesh kar sakte ho. Doston, securities, jo ki share markets mein trade ki jaati hain, ye companiyon aur investors ke beech ek agreement hoti hai. Inki economic aur monetary value hoti hai, isliye inki trade kiya jaata hai.

In this podcast, hum equity securities like stocks and debt securities like bonds se milne wale returns ke baare mein baat karenge. Toh kya taiyaar hain aap?

Shuru karte hain capital gains se. Toh doston, capital gains ka matlab hota hai, ki aapki securities ki value me purchase karne ke baad kitna increase hua hai. Iska matlab hai, ki agar aap ye securities kisi aur investor ko bechte ho, to usse aapko kya profit milega.

Stock market ke context me, aapke shares ki prices mein jo increase hua hai, usko capital gain bolte hain. Capital gain se aapko jitne bade profits ho sakte hain utne hi bade losses bhi. Because if the share prices drop, to aapko chote samay mein bade losses ho sakte hain.

Aaage badhte hain dividends ki taraf. Doston, aapne share market ki news mein dividend shabd zaroor suna hoga. Dividends ko samajhna bahut aasan hai.

Agar aap kisi organisation ke shares khareed rakhe hain, to wah organisation apne yearly profits mein se shareholders ke liye ek chota sa hissa deti hai.

Iska matlab yeh hai, ki dividends us company ko hone wale profits me se milta hai. Lekin dividends sabhi stocks par laagu nahi hote. Ye kewal badi companies aur organisations ke stocks par hi milte hain. Saath hi, dividends ki value interest rates aur securities ke type par bhi nirbhar karti hai.

Aur doston, teesre type ka return jo hum aaj discuss karenge, woh hai interest. Doston interest se hone wale profits toh aap samajhte hi honge. Agar nahin, to suniye dhyaan se.

Interest zyadatar debt instruments par milta hai. Iska matlab, agar aapne apne instrument ke maadhyam se investment ki raashi kisi party ko ऋण yani ki loan ke roop me di ho toh aapko ispar interest ke roop mein returns milenge. Interest se milne wale returns fixed hote hain. Matlab, aapko ek niyamit antaraal se ek fixed return milega.

Toh doston, how to make profits from investing in the share market? Is sawaal ka koi ek uttar nahi hai. Lekin aap apne investment ko surakshit rakhne ke liye kuch rannitiyan apna sakte ho. To aaiye dekhte hain ki duniya ke top investors invest karne se pehle kya sochte hain, aur kaise ye apne investment par ek upward growth achieve karte hain.

Sabse pehle aapko apne investment ko achchi tarah se jaanchna aur samajhna bahut zaroori hai. Iska matlab hai, ki shares mein invest karne se pehle us industry ke baare mein gyan hona, securities mein jo agreements involved hain, unko properly, aur line-by-line study karna. Aap jis organisation ke shares khareed rahe hain, uske business ko samajhne se aap iska anumaan laga sakte hain, ki aaj ki aur bhavishy ke aarthik sthitiyon aur market sentiments se iske stock prices par kaisa asar padega. Isi karan se bolte hain, ki “Invest in the business, not the stock.” Aur doston, aapne news channels par exit strategy ya fir quitting strategy ke baare mein bhi suna hoga. Hai na? Koi bhi investor shares khareedte hue share prices ka girna thodi na expect karta hai. Sabhi investors apne stocks ko peak prices par sell kar dena chahte hain. Lekin, stock prices mein rise aur fall hona toh market ka niyam hai, hai ki nahi? Isiliye kaha jaata hai ki stocks ke peak prices ke liye wait karne se achcha hai ki aap moderate returns par apne stocks sell karke exit kar len. Kyunki peak prices ke liye wait karna aapko bhaari bhi pad sakta hai. Doston ab hum dekhenge stock markets mein invest karne ka ek golden rule, jisko kaha jaata hai portfolio diversification. Iska matlab hota hai, aapke portfolio mein high risk aur low risk investments ka ek balance hona. Zyadatar, high market value ya high market capitalisation wali companies se steady returns milte hain. So they add lesser risk to your protfolio, than small cap shares enterprises, jinse aapko high returns to mil sakte hain, lekin inme nivesh karna risky bhi ho sakta hai. Isliye, high risk investment aapke portfolio ka ek chota sa hissa hi hona chahiye.

Aur doston, lastly, majority opinion ke peeche bilkul na daudein. Invest karne se pehle khud se zaroor research karen. Agar aap herd mentality ke saath invest kar rahe hain, toh isse aapko bhari losses ho sakte hain. Isliye apni research par bharosa karen aur details par dhyaan dein.

Toh doston, jaisa ki aapne dekha, share markets se profit paida karne ke kai tareeke ho sakte hain. Lekin yeh zaroor yaad rakhen ki agar aap share markets mein ek naye player ho, to kisi experienced investor ki salah ke bina kisi investment par commit mat karo. Details par dhyaan dena, agreements ko theek tarah se padhna, industry ko research karna aur portfolio ko diversify karne se aap share markets mein apne funds ko surakshit roop se invest kar sakte ho. Agar aap apni galtiyon se seekhte ho aur industries se sambandhit relevant news aur developments par dhyaan dete ho, to aap dheere dheere ek experienced investor ki tarah decisions lene lagoge.

Toh doston, aaj ke podcasts mein itna hi. ये podcast शेयर करना ना भूलियेगा - याद रखियेगा की ज्ञान बाटने से बढ़ता है । और फिर अंत में तोह financial markets एक ऐसी university है जिसमे कोई professor नहीं, सब students ही है ।